🔥 ट्रेंडिंग भारतीय कम्युनिस्ट पार्टी ने नदी कटान क... बांका: ओढ़नी नदी पर बन रहे पुल का डीएम... सड़क पर गड्ढों से राहगीर परेशान, आवागम... Big Boss Kannada Season 13 Tops TRP Ra... Suspense Crime Web Series 'Dhul' Draws... Kannada Star’s Big‑Budget Film Muhurat...
14 अक्टू. 2026•
ગુજરાતી मराठी ਪੰਜਾਬੀ বাংলা
देश

Narpatganj to Araria NH-27 Ki Haqeeqat

✍️ रिपोर्टर: Ritik Kumar Mallik 🗓 14 अक्टू. 2026, 02:02 PM 👁 18
शेयर करें: 💬 WhatsApp 📘 Facebook 𝕏 Post

Ye hai NH-27 ki haqeeqat... Narpatganj se Araria ka road dekh lijiye. Itna bada gaddha highway ke beech me. Prashasan kab jagega?

Araria, Bihar: Narpatganj se Araria ko jodne wali National Highway NH-27 ki haalat bahut kharab ho chuki hai.

Sadak ke beechon-beech itna bada aur gehra gaddha bana hua hai ki rozana yahan se guzarne wale hazaro logo ki jaan jokhim me hai. Tasveer me aap saaf dekh sakte hain ki highway par bana ye gaddha kitna khatarnak hai.

Sthaniya logon ka kehna hai ki din me to ye gaddha dikhai de jata hai, lekin raat ke samay me jab tez raftar gaadiyan chalti hain to ye gaddha dikhai nahi deta, jiske kaaran kai baar bade haadse hote-hote bache hain. Bike aur chhoti gaadiyon ke liye ye aur bhi zyada khatarnak hai.

NH-27 Araria, Purnia, Forbesganj aur Nepal border ko jodne wali mukhya sadak hai. Is raste se roz hazaron gaadiyan guzarti hain, lekin sadak ki marammat par koi dhyan nahi diya ja raha hai.

Logo ne NHAI aur zila prashasan se maang ki hai ki jald se jald is gaddhe ko bhara jaye aur poore Narpatganj to Araria stretch ki jaanch karke sadak ki marammat karayi jaye.
📲Get App